Let's Talk Forum
गर्भावस्था
मैडम सर। मेरी पत्नी का जन्म फरवरी महीने में हुआ था इसलिए हम दोनों चाहते हैं कि हमारा जो बच्चा हो वह भी फरवरी महीने में ही हो इसलिए हमें किस महीने में कोशिश करनी चाहिए कि बच्चा फरवरी महीने में ही हो धन्यवाद



Smile puttar,
Yeh to bahut mushkil hoga. Pregnancy kab ho - yeh bahut se factors pe depend karta hai - ovulation, regular periods, etc. So mera suggestion yeh rahega ki aap dono iss chinta ko bhool ke bachhe ke liye try karo. Bina stress ke. Kyunki pregnancy ka therana bahut se factors pe depend karta hai - aur stress ya chinta ki bachha February main he paida ho - yeh sahi nahi hai maa ko dena. Maan ko tum 38-40 weeks pehle pregnant ho bhi jaate ho - fir bhi uska paida hona bhi bahut se factors pe depend karta hai - jaise ki pregnancy kaisi hai, bachhe ki growth kaise hai, maa ko koi problem to nahi - kai baar bachha 9 mahine se pehle bhi paida ho jaata hai. To tum log iss time yeh socho ki ek swasth aur healthy bachha paida ho - na ki February ke mahine main bachha paida ho! Kismat hogi to ho jayega Feb main bhi - lekin please iss stress ko le ke pregnant na ho - https://lovematters.in/hi/how-does-pregnancy-happen
