Let's Talk Forum
संक्रमण

Namaste Madam,

Kal maine covishield ki first dose lagwayi...jo vaccine laga rahi thi ladies wo mere sir ki relative thi...jab me vaccine ke liye pahucha mera registration hua jab mera no. Aaya to lunch ho gaya tha waha bheed bhi thi to use madam ne mujhe jaha wo lunch karne gaye the waha bulakar vaccine laga di me dekh ni paya ki wo new syringe use kiya ya ni wo ladies lekar khadi thi syringe usne laga di vaccine mere pass first dose ka certificate bhi aa gaya...me apni aankho se dekh ni paya ki new syringe use kiya hoga ya ni...mujhe weham ho gaya...kya mujhe hiv ka test karana chahiye....
Jisne mujhe bheja tha vaccine ke liye wo bol raha tha aisa galat kam ni karte wo unka roz ka kaam hai sabke samne lagate to baki log objection uthate ki relative ke pahle laga rahe hai isliye teri alag room me vaccine lagayi


Rahul puttar,
Waise to woh log aisa nahi kar sakte - tum uss time pooch bhi sakte the. Vaccine tosarkari kaam hai - usmein yeh log galat nahi kar sakte - fir bhi tumko waham ho raha hai to tum HIV test apni mann ki tassali ke liye karwa lo - https://lovematters.in/hi/covid-19-vaccine-se-jude-sawalon-ke-uttar



HIV testing ki saari jaankari yahan se lo - https://lovematters.in/hi/safe-sex/hiv-testing-everything-you-want-to-know

2. Nahi beta, agar waham nahi hai to test ki koi zaroorat nahi honi chaiye.

1 Question or hai man...
CMIA Hiv test jo hota hai ..usme antibodies ka test hota hai....
Jab mere covishield vaccine lagi usme bhi antibodies banti hai body me...

Agar me hiv CMIA test karwata hu to mere andar vaccine ki antibodies banegi or jo CMIA test hoga usme antibodies ka test hoga to usme wo pakad me aa jayegi or report positive ho jayegi ....aisa hota hai kya